Pyaar ko leke bahut kitaabein hain humaare saahitya mein...har doosri movie kii central theme pyaar hoti hain humaare yahaan. bachpan sey jawaani takk pyaar k kaseede padey kisse suney magar pyaar nahii kiya. Har doosri ladki sey pyaar ho jaata thha, karne kii zaroorat nahi padhi, fir humne dil ko samjhaaya pyaar yehh nahii hota. Logo sey sunaa pyaar wohh hota hain jissme aap ghanto fone pey lagey rehte hain, din ko sham aur shaam ko subah samajhne lagte hain, Jab din bhar aapko uss phone kii gantii bajne ka intezaar rehta hain, jab aapko apneaap ko paagal kehlaane mein garv mehsoos hota hain.
Humne apne aap ko samjhaaya k vyangya rass k kawi hone k naate humein pyaar karne kaa hak nahii fir dekha jab poori duniya pyaar mein doobi hui hain tohh hum kyun nahii. Soca chalo yeh shauk bhii sahii, aakhir hum bhii pyaar karke dekhe. Dekhne mein masha allah hum bhii kam nahii thhe aur ek haseen mohtarma kii kamii thhi. Tohh humne apnii talaash shuru karii
No comments:
Post a Comment